Woh jiski deed mein laakhoun masarratein pinhaan
Woh husn jiski tamanna mein jannat pinhaan.
Hazaar fitney tah-e-paa-e-naaz khaak-e-nasheen
Har eik nigaah khumar-e-shabaab se rangeen.
Shabaab jis se takhaiyul pe bijliyaan barsein
Waqaar jiski rafaqat kou shokhiyaan tarsey.
Ada-e-laghzisheiy paa par qyamatein qurbaan
Bayaz-e-rukh sey sahar ki sabahatein qurbaan.
Siyaah zulfoun mein badaaon sa nikhatoun ka hujoom
Taweel raatoun ki khwabeedah raahatoun ka hujoom.
Vo aankh jiski banaun pe khaliq dey raae
Zabaan shair kou tareef kartey sharmaae.
Gudaaz jism qaba jispe saj ke naaz karey
Daraaz qad jisey sarw-e-sahi namaz karey.
Kisi zamaney mein is rah-guzar sey guzraa thaa
Ba-sad guroor-o-tajammul idhar sey guzraa thaa.
Aur ab ye raah guzar bhi hai dilfareb-o-haseen
Hai uski khaak mein kaife sharab-e-sair makeen.
Hawa mein shokhi-e-raftaar ki addaen hain
Faza mein narmi-e-guftaar ki sadaen hain.
Garaz vo husn is raah ka juzu-e-manzar hai
Neyaaz-e-ishq kou eik sajda gaah maiyassar hai.

Comments
Post a Comment